Insaan ko dil de, jism de, dimaag de lekin yeh kambakht pet mat de ... usse pet deta hai toh usse bhook mat de ... usse bhook deta hai toh do waqt ki roti ka intezam karke bhej ... varna tujhe insaan ko paida karne ka koi haq nahi hai
Roti roti mein bhi farak hota hai mere dost ... ek roti woh hoti hai joh cheenke khai jaati hai jis mein kisi ke khoon ki boo aati hai ... lekin mujhe woh roti chahiye jis mein kisi ke khoon ki boo nahi, balki mere paseene ki mehak aati ho
Aadmi ke seene mein khanjar bhokane se woh sirf ek baar marta hai ... lekin jab kisi ka dil tootta hai na toh usse bar-bar marna padta hai, har roz marna padta hai
Kasoor mera nahi roti ki kasam ... bhook ki duniya mein imaan badal jaate hai
Agar is samaaj aur society se paap aur gunaah ko hamesha ke liye khatam karna hai ... toh un shaitano ko khatam karna hoga joh chand sikkon ki khatir gareebon ki sharafat aur insaaniyat khareedkar unke dilon mein gunaah ka bheej bohte hai ... paap ke saaye mein unki parvarish karte hai ... logon ka khoon pilakar unhe badne par majboor karte hai
(Kaun ho tum?) ... Kahi naam hai mere ... gareeb maa baap mujhe apna beta kehte hai, mazloom ladkiyan apna bhai ... besahare yateemon ka dost hoon aur zalimon ka dushman
No comments:
Post a Comment