Roti Kapada Aur Makaan Dialogues | Bollywood Drama Film
Joh aadmi chori karke bhaagte huye pakda jaaye ... woh zindagi bhar bhaagta rehta hai
Yeh mat socho ke desh tumhe kya deta hai ... socho yeh ke tum desh ko kya de sakte ho
Pyar ki kahani ek aisa pinjra hai jis mein mann ka panchi pharphara toh sakta hai ... magar nikal nahi sakta
Naukri mile toh degree, degree ... nahi toh bigdree, bigdree
Meri janam patri, meri kundli, yeh degree hai ... aur iski kismat mein kitne rahu hai kitne ketu, yeh koi jyotshi nahi jaanta
Jiski zindagi par kalank lag jaye na ... usse duniya door bhaagti hai
Sach aur jhoot toh insaan ke chehre par likha hota hai
Joh insaan choti choti khushi ko dhoondta ho ... uske samne khushiyon ka bhandaar khul jaye ... toh usse yakeen nahi aata
Do pyar karne waale jab phir se mil jaaye ... toh teesra pyar karne waala kabhi dukhi nahi hota
Khushi ke mauke par dard bhara geet chedna ... badi manhoos si baat hoti hai
Halaat jab jakad lete hai toh insaan buri se buri baat sochta hai
Roti, kapada aur makaan par kabza karne waalon ke dil ... choohe jaise hai
No comments:
Post a Comment